Saturday, December 24, 2005

Lehron Se Darkar Nauka Paar Nahin Hoti..

I am simply in awe of this insirpiring poem by the legendary Harivansh Rai Bachchan. Thanks to the Sender. Here goes the same...

Lehron Se Darkar Nauka Paar Nahin Hoti,
Himmat Karne Waalon Ki Kabhi Haar Nahin Hoti.

Nanhi Chinti Jab Daana Lekar Chalti Hai,
Chadti Deewaron Par Sau Baar Fisalti Hai,
Mann Ka Vishwaas Ragon Mein Saahas Bhartaa Hai,
Chadkar Girna, Girkar Chadna Na Akharta Hai,
Mehnat Uski Bekar Har Baar Nahin Hoti,
Koshish Karne Waalon Ki Kabhi Haar Nahin Hoti.

Dubkiyan Sindhu Mein Gotaakhor Lagata Hai,
Jaa Jaakar Khaali Haath Lautkar Aata Hai,
Milte Na Sahaj Hi Moti Gehre Paani Mein,
Badta Doona Vishwaas Isi Hairaani Mein,
Muththi Uski Khaali Harbaar Nahin Hoti,
Koshish Karne Waalon Ki Kabhi Haar Nahin Hoti.

Asafaltaa ek Chunauti hai Sweekaar Karo,
Kya Kami Reh Gayi Dekho Aur Sudhar Karo,
Jab Tak Na Safal Ho Neend Chain Ki Tyago Tum,
Sangharshon Ka Maidaan Chod Mat Bhaago Tum,
Kuch Kiye Binaa Hi Jai Jaikaar Nahin Hoti,
Koshish Karne Waalon Ki Kabhi Haar Nahin Hoti.

-Harivansh Rai Bachchan